Remove This Message If you like to switch to lite version of this site, then click HERE

Islam4You.info: Islamic Website By Doctor Mushtaq Anis

 
 
 
 

 

Sponsored Links

Holy Quran Explorer
Search Holy Quran Islamic Flashes
 

 

Sponsored Links

Nasheeds > Lyrics > Kamal Uddin :: Hain Nazar Main

 

Hain nazar main jamale habibe khuda
unki tasveer seenay main maujood hai
jisnay lakar kalame ilahi diya
woh Muhammad madinay main maujood hai

Phool khiltay hain par par kay salay ala
Jhoom kar keh raheen hai yeh baade sabah
aisee khusboo chaman ke guloon main kahan
Jo nabi kay paseenay main maujood hai
jisnay lakar kalame ilahi diya
woh Muhammad madinay main maujood hai

Chorh natein rataiba gawara nahin
Saree dunya main aisa nazara nahin
Aisa manzar zamanay nay daikha nahin
Jaisa manzar Madinay main maujood hai
jisnay lakar kalame ilahi diya
woh Muhammad madinay main maujood hai

Hum nay mana kay jannat bohat hai haseen
Chorh kar madina na jaein kaheen
Yoon to jannat main sub hain madina nahin
Aur jannat madinay main maujood hai
jisnay lakar kalame ilahi diya
woh Muhammad madinay main maujood hai

Woh Abu-Bakr, Farooq, Usman, Ali
Hain yeh sub unkay deenay mubeen kay fakir
Woh Fakiroon kay Afzar Shahe Anbiya
Woh Shahanshah Madinay main maujood hai
jisnay lakar kalame ilahi diya
woh Muhammad madinay main maujood hai

Hain nazar main jamale habibe khuda
unki tasveer seenay main maujood hai
jisnay lakar kalame ilahi diya
woh Muhammad madinay main maujood hai

 

Sponsored Links

 

 
     
 

Make Us A Home Page | Bookmark Us | Our Network | Contact Us | Switch To Lite Version

 
     

Copyright (C) - islam4you.info - All rights reserved  .:: Privacy Policy & Desclaimer ::.

Site Best Viewed With Internet Explorer 5.0+ & Medium Text Size