Madine Ka Safar Hey Aur Mey Namdeda Namdeda Jabeen Afsurda
Afsurda Qadam Laghzeda Laghzeda
Chala Hoon Eik Mujrim Ki Tarha Mey Janib
E Taiba Nazar Sharminda Sharminda Badan Larzeda Larzeda
Kise Key Hath
Ney Mujh Ko Sahara Dey Diya Warna Kahan Mey Aur Kahan Ye Rasty Pechida
Pechida
Kahan Mey Aur Kahan Us Roza E Aqdas Ka Nazara Nazar Us Samat
uthte hey Magar Duzdeda Duzdeda
Ghulaman E Mohammad Dour Sey Pehchany
Jaty Hein Dil E Girweda Girweda Sare Shoreda Shoreda
Madine Jaa Key
Hum Samjhy Taqadus Kis Ko Kehty Hein Hawa Pakeeza Pakeeza Faza Sanjida
Sanjida
Basarat Khoo Gai Lekin Basirat To Salamat Hey Madina Hum Ney
Dekha Hey Magar Nadeda Nadeda
Wohi Iqbal jis Ko Naaz Tha Kal Khush Mezaji
Par Firaq E Taiba Mey Rehta Hey Aab Ranjida Ranjida
Madine Ka Safar
Hey Aur Mey Namdeda Namdeda Jabeen Afsurda Afsurda Qadam Laghzeda
Laghzeda
|