Zahe muqaddar huzur-e-haq se salaam aaya payam aaya Jhukao
nazreen bichao palkeen adab ka aala maqam aaya
Yeh kon sar se kafan
lapetey chala hai ulfat ke raatey par Farishtey hairat se tak rahe hain yeh
kon zi ehteram aaya
Faza mein labbaik ki sadain za farsh ta aarsh
goonjhti hain Har ek qurban ho raha hai zaban pe yeh kis ka naam
aaya
Yeh rahe-haq hai sambhal ke chalna yahan hai manzil qadam qadam
par Pohanchna dar par to kehna aaqa salaam lijiye ghulam aaya
Yeh
kehna aaqa bohat se aashiq taraptey se choor aaya hoon mein Bulawe ke
muntazir hai lekin na subah aaya na sham aaya
Dua jo nikli thi dil se
aakhir palat ke maqbool ho ke aai Woh jazba jis mein tarap thi sachi woh
jazba aakhir ko kaam aaya
Khuda tera hafiz-o-nigehban o rahe batha ke
jaane wale Nabi de saad in bisat ban kar payam darood-o-salaam
aaya
Zahe muqaddar huzur-e-haq se salaam aaya payam aaya Jhukao
nazreen bichao palkeen adab ka aala maqam aaya
|