Azal Ki Khushboo Ho jismein Pinhaa'n koi batae tu naam
aisa wo naam-e-Ahmed ke phool barsein Bayan Aisa Kalam Aisa Azal Ki
Khushboo
Wohi Hai Qur'an wohi ha furqa'n wohi hai rab jiska hai sama
khaa'n Farishte pardh pardh ke jhoomte hain Durood aisa Salam aisa Azal
ki khushboo
Hai deen-e-haq mein jamal-e-yazdaan hai arsh bhi jispe
naaza'n wohi tu laya hai deen aisa wohi tu laya nizaam aisa Azal ki
khushboo
wo jis ka saya tu arsh par hai wo jis ka zaroon ke dil mein
ghar hai wohi jo chamka tu phir na dooba wohi hai mahe tamam aisa Azal
ki khushboo
nazar be yaqsaa'n ghulam-o-aaqa buzurgon par tar hai sirf
taqwa koi jahan mein hai deen aisa kahin hai koi nizaam aisa Azal ki
khushboo
Woh jis andheri gali se guzra badal diya noor mein
andhera dilon ki dunia badal ke rakhdi dia dilon ko payam aisa Azal ki
khushboo
Aqeel aisa khalil aisa jalil aisa jamil aisa na riffaton
mein na azmaton mein kisi ne paya maqam aisa Azal ki
khushboo
qala't aisi sa'adat aisi riya'zat aisi 'iba'da't aisi wo
jispe kaabe ko washjd aaya sujood aisa qayam aisa
Azal ki khush boo ho
jismein pinhaa'n koi batae tu naam aisa woh naam-e-Ahmed ke phool
barsein bayan aisa kalam aisa Azal ki khushboo
|