Zahir Ki Aankh Say Na Tamasha Karay Koi Ho Dekhna Toh Deeda-e-Dil Waa Karay
Koi Arr Baithay Kya Samajh Kay Bhala Tuur Par Kaleem Taaqat Ho Deed Ki Toh
Taqaza Karay Koi
Ilaahi Teri Chaukhat Par Bhikaari Ban Kay Aya
Hoon Saraapa Faqr Hoon, Ijz-o-Nadaamat Saath Laya Hoon
Ilaahi Teri
Chaukhat Par Bhikaari Ban Kay Aya Hoon Saraapa Faqr Hoon, Ijz-o-Nadaamat
Saath Laya Hoon
Bhikaari Wo Kay Jis Kay Paas Jholi Hai Na Piyaala
Hai Bhikaari Wo Jisay Hirs-o-Hawas Nay Maar Dala
Hai
Mata-e-Deen-o-Daanish Nafs Kay Haathon Say Lutwa Kar Sukoon-e-Qalb
Ki Daulat Hawas Ki Bhaint Chharwa Kar
Luta Kar Saari Poonji
Ghaflat-o-Isyaan Ki Daldal Main Sahara Lenay Aya Hoon Teray Ka'abay Kay
Aanchal Main
Gunaaahon Ki Lipat Say Ka'ainat-e-Qalb Afsurda Iraaday
Muzmehal, Himmat Shikasta, Hauslay Murda
Kahan Say Laoon Taaqat Dil Ki
Sachhi Tarjumani Ki Kay Is Jhanjaal Main Guzri Hain Ghariyan Zindagi
Ki
Khulasa Yeh Kay Bas Jal Bhun Kay Apni Ru-Siyaahi Say Saraapa Faqr
Ban Kar Apni Haalat Ki Tabaahi Say
Teray Darbaar Main Laya Hoon Apni Ab
Zabun Hali Teri Chaukhat Kay Laaiq Har Amal Say Haath Hain Khaali
Yeh
Tera Ghar Hai Teray Mehr Ka Darbaar Hai Maula Saraapa Noor Hai Aik
Mohbat-e-Anwaar Hai Maula
Teri Chaukhat Kay Jo Aadab Hain Main Un Say
Khaali Hoon Nahin Jis Ko Saliqa Maangnay Ka Wo Sawali Hoon
Zuban
Gharq-e-Nadaamat Dil Ki Naaqas Tarjumani Par Khudaya Rehem Meri Is Zamanay
Bay Zubani Par
Yeh Aankhain Khushk Hain Yaa Rab Inhain Rona Nahin
Aata Sulagtay Daagh Hain Dil Main Jinhain Dhona Nahin Aata Hai
Ilaahi
Teri Chaukhat Par Bhikaari Ban Kay Aya Hoon Saraapa Faqr Hoon, Ijz-o-Nadaamat
Saath Laya Hoon Saraapa Faqr Hoon, Ijz-o-Nadaamat Saath Laya Hoon
|
|