Kaheen say mujhay ek cheenkh sunaeee dee. Ek moonh bhari cheekh. Ek na umeedh aah! Mujhay in kay bojhal kadmoon ki chaap sunaee dee aur phir mujhay pata chala kay mairee rooh ko zaroor parwaz karna hai, jana hai Ek yakh basta hawa chalna shurooh hogaee. Mairee rooh kay andar, sar say paoon tak aur phir aakhri saans bhi mairay hoontoon say nikal gaee, yeh waqt duniya chorhnay ka hai,aur mujhay zaroor jana . Haan yeh sach hai. Magar Ab bohat dair ho chuki hai. Har ek nafs kay liyay maut ka waqt muqarar hai. Jab is jism say jaan ko nikalna hai aur apnay abdi muqaddar say dochar hona hai Aao koee mujhay batayay keh main kia kahoon. Kaun janta hai? Kal aap ki bari ho. Aakhir janat ya jahanum kay faislay aapohnchay. Abhi faisla kejiyay kiya chahiyay? Dair mat kijiyay. Aaoo mairay bhaiyoo aur bahnoo! Allah ki baat maan lain. Abhi faisala kijiyay kiya chahay? dair mat kijiyay. Oo mairay khuda! Oo mairay khuda! Mujhay kuch dikhaee nahin daita, mairee aankhain andhee ho chukee hain. Kia yeh main hoon? Ya kaheen mairee rooh bhatak gaee hai aur mujhay ek anmool keemat dainee parh rahee hai Hai afsoos! Hum sab ko ek din matti kay neechay jana hai. Kuch mazay main hoongay, aur baqi aag main jalain gay. Is say pehlay agar main kuch jaanta hoon, to sirf yeh keh... Waqt taizee say guzar raha hai, mairee bari bus aaee keh aaee Aur ab, zameen kay neechay... Mujhay mairay kharab nama-e-amal kay saath lita dia gaya. Woh la-ilmi main rotay hain aur main apni baybasi peh aansoo bahata hoon. Phir woh wapas ghar ko loot gayay... Aur ab maira Rub say samna hua! Aoo koee mujhay batayay keh main kiya hoon. Kaun janay kal aap ki baree ho. Aakhir kaar... Faislay ka waqt aa pohncha. Janat Jahanum. Abhi faisla karoo kiya pasand hai. Dair mat karo. Aao mairay bhaiyoo aur behnoo! Allah kay aagay sajda karain jaein. Kiya abhi faislay ka waqt nahin aaya? Aakhir ab dair kis baat ki?
|